'Tumko ek Talkh Haqiqat bhi bata daity hain
Jisko aksr ye Log chupa daity hain

Tumny girtay huy patton ko tou daikha hoga
Apni her saans wo Tehni par ganwa daity hain

Kya khoob sajattay hain baharon main Shajjar ko
Karrhi dhoop main apna ap jala daity hain

Kitny Be-Reham Shajjar hain Naye Patton ki khushi main
Peele Patton ko Khizaon main gira daity hain

Aur jo girtay hain Qadmon main Shajjar k
Log un patton ko pairon main daba daity hain ...

______________________________________________________________

'annkhon main aansu hain phir bhi hum muskuraty hain
sadaa khush hain hum ye ehsaas unhain kraaty hain...
wo kya jaane k routy routy muskurana kya hota hai
laakhon gham hoty hain dil main phir bhi chehra muskura raha hota hai..
is hansi pe na jaana e dost ye to dil main bhre gamo ka nasha hota hai
jo chehre se jhlakta hai aur aankhon se aanshu ban ker chhlak raha hota hai.'

______________________________________________________________

'Rango Ki Masti Pholon Ki Bahar
Basant Ki Patangen Urne Ko Beqarar

Thori Si Garmi Halki Si Phoar
Bahar Ka Musam Ane Ko Tayar

Happy Basant Mubarak'

______________________________________________________________

Is Bariish ke pahli boond
matte py girny sy uthny
wali khushbu ke Trha
Ap Ke Zindagi hameesha
Mehakti rahy...
Aameen

______________________________________________________________

'Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab,ibaarat, hawa ki tarah
Chand,boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN'

______________________________________________________________

'Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say..
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga..

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga..

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana.........
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga....'

______________________________________________________________

'Kaanton Se Guzar Jaanaa Sholon Se Nikal Jaanaa
Phuulon Kii Bastii Main Jaanaa To Sambhal Jaanaa

Din Apnii Chiraagon Ki Maanind Guzarte Hain
Har Subah Ko Bujh Jaanaa Har Shaam Ko Jal Jaanaa

Bachchon Hi Si Fitrat Hai Ham Ahl-e-muhabbat Ki
Zid Karnaa Machal Jaanaa Phir Khud Hi Sambhal Jaanaa

Woh Shakhs Bhalaa Mera Kyaa Saath Nibhaayegaa
Mausam Ki Tarah Jis Ne Siikhaa Hai Badal Jaanaa'

______________________________________________________________

Spring makes its own loud and clear statement
that the gardener seems 2 b only 1 of the instrument, not the composer

______________________________________________________________

Its spring fever and when you hav got it, you want
you don't quite know what it iz u do want,
but it just fairly makes your heart ache, u want it so!

_____________________________________________________________

'Main phool tha tb tk jb teri bahar mujh py thi.
jb tu chali gae mera naam raha na nishan raha.

Copyright © 2015 All Rights Reserved