Dua nahi
to gila deta koi
meri wafaon ka sila deta koi
jab mukadar hi nahi tha apna
deta bhi to bahla kya deta koi
hasil-e-ishq faqat dard hai
aye kash pehle hi baat deta koi
taqdeer nahi thi agar aasmaan chuna
khaq me hi mila deta koi
bewafa bhi humein bewafa keh gaya
is se zyada kya daga deta koi
guman hi ho jata kisi apne ka
daman hi pakar kar hila deta koi
arse se atka hai hinchkiyoun pe dun
acha hota ke bhula deta koi
______________________________________________________________
Youn Tou Duain Roz Kia Kertay hain
Bas Kisi tarha Mil Jae Dua Roz kia ketray hain
Khayal to ata hai Ager na milay to kia hoga
Ess Liye Tujhay Dil mai Basaey Rakhtay hain
Tumhari yadon Ko Hamesha Hum Sajae Rakhtay hain
Dil Key haal Ko Logo Say Chupay Rakhtay hain
Hum say Ager Koi Poochay Ga tumhara
Tu hum keh daingay Ankhom Mai Sajaee Rakhtay hain
Eik Bat Sochi Hai samjhi Tum KO BatatTay Hain
Ager tum Naraz na Ho to tum ko bataTtay Hain
Khuda Na Karya Kay Kabhi Biecharna para
To Bas Jan Layna YE Muqaddar kEy FAislay hAin
Mager kuch Bhi HO Ye Hum KO yad Rakhna hain
Hal Par Har Ghari Eik Dosray ko Yad Rakhna hain
Yaad to Aiege Dukh to Hoga Tere Na Hone Ka
Mager Ye samjh Layna Ahsan Us Key Liye Jety hain
______________________________________________________________
'Dil me tmhari yad k nashtar utar gaye
Kitne sitare aankh se tootkar bikhargaye
Aajaiye k aap ko tarse hay ab nazar
Dekha nhi hay ham ne bohat din guzar gaye.'
______________________________________________________________
''jise koi nahi janta
use rab janta hy
raaz ko raaz na smjo wo sb janta hy
agar mangna he hy to us Khuda sy mango
zuban pe aane sy pehle jo dil ki tarap janta hy'
______________________________________________________________
DUA ME LAB PER SAWAL RAKHNA
NIGAH PER APNI KAMAL RAKHNA
DENE CHAETY HO AGAR KHUSHIYAN HAMEIN
TO,
KHUSH REHNA AUR APNA KHAYAL RAKHNA
______________________________________________________________
Mera dard kesy wo janta
Meri bat kesy wo manta
Wo to khud fana k safar pe tha
Usy rokna b mahaal tha
Kahan jaogay mjhe chor kr
Me ye poch poch k thak gaya
Wo jawab mjhko na de saka
Wo to khud sarapa sawal tha
Dam-e-wapsi usy kya hua
Na wo roshni na wo tazgi
______________________________________________________________
hai duaa yaad mager harf-e-duaa yaad naheen
merey naghmaat ko andaz-e-nawaa yaad naheen
hum ne jin ke liye rahoon main bichaya tha lahoo
hum se kehtey hain wohi ehd-e-wafa yaad naheen
zindagee jabr-e-musalsal ki terha kaati hai
janey kis jurm ki pai hai saza yaad naheen
main ne palkoon se der-e-yaar peh dastak di hai
main woh saa-il hoon jisey koi sadaa yaad naheen
kaisey bher aain ser-e-shaam kisi ki aankhain
kaisey theraaii charaghoon ki zayaa yaad naheen
sirf dhundlaye sitaroon ki chamak daikhee hai
kab hua kon hua mujh se khafa yaad naheen
______________________________________________________________
mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho
mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai
zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho
sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua
isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho
vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein
jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho
mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho
isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa
vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho |