Soya nahi hoon mujhe sula do meri maan

aa jaao mujhe loori suna do meri maan

ashk meri aankhoon main jam say gaye hain

kerkay dil pay jaber mujhe rula do meri maan

dekho kitni bay tarteeb ho gaye hay zindagi

bikhray hain meray baal bana do meri maan

aik karb say aashna rehta hoon her ghadi

is dard ka ahsaas mitta do meri maan

jal reha hoon main andekhi aag main

chomo mera mattha aag bujha do meri maan

bohat darr lagta hay mujhe duniya say

tum mujhe duniya say chhupa do meri maan

thak gaya hoon bohat duniya say ladtay ladtay

tum mujhe apni aaghosh main panah do meri maan…!!…

______________________________________________________________

Qisa KHYBER ka sunaya to bura maan gae!
Aaiena unko dikhaya to bura maan gae!
Dar-e-Zahra ko Madine mn jlaya kis ne?
Ham ne jo naam btaya to bura maan gae!
Tazkira Bagh-e-fidak,to wo kia krte hi thy,
Jab fidak yaad dilaya to bura maan gae!
Waqt parne pe wo krte rahe Haider Haider,
HAQ ne jab MOLA bnaya to bura maan gae!
Ham jo rote hn, to Bid’att ki sanad milti hy!
Qisa-e-Ghaar sunaya to bura maan gaye!…

______________________________________________________________

MAAN
Maan ka ANCHAL
Dhup me BADAL
Maan ki BAHEIN
Nind ki RAHEIN
Maan ka DAMAN
Hansta SAWAN
Maan ka GUSSA
Piyar ka HISSA

______________________________________________________________

MAAN

mout ki aaghosh main jb thak k sojati hai MAAN

Tb kahen ja ker sukoon pati hai MAAN

Rooh k rishtoon ki yehi gehraee to dekho

Choot lagti hai humain or chilati hai MAAN.

Mangti nai kuch apnay liya ALLAH say

Apnay bachoon k liya daman ko phelati hy MAAN

Piyar kehtay hain kissay aur maamta kya cheez hai

Yeh un bachoon say pochoo jin ke ghuzar jati hai MAAN

Chahay hm khusiyoon main bhool jain MAAN ko

Dosto jab musibat sar par aati hai to yaad aati hai MAAN

______________________________________________________________

Maan hay sare jaag se payri
shaan hay is ki se niyazi
gher bhar ki hay is se zinat
paon tale hay is k jannat
falak ka aakhri maan hay tofaa
qadar jo koi maan ki janne
jannat phir wo mofaat main paay
jab bhi mushkil main main ghabray
kam ki dua ne kaam ker dikhaya
maan hay sare jaag se payri
shaan hay

______________________________________________________________

No love stronger than mother’s love,
croons around an preens like a dove
unpaired is the bond on this earth
naught in creation can match her worth
Perennial tie that heaven has made,
caressing the lock, tress and braid
As she labors to bring forth life
bond uncut with the keenest knife
Mother’s love is an endless song
sung every day and all night

______________________________________________________________

Once an Old Age Mother was sitting with her son.
.
Ek kawa (crow) pas betha tha,
MAAN nE poocha k Beta yE kia Ha?
Beta: yE Kawa Ha
.
MAAN nE kuch der ba’d phir poocha k yE kia Ha?
Beta: yE Kawa Ha
.
MAAN nE phir poocha k yE kia Ha?
.
Beta: Ghusse sE boLa, k kitni bar bata0n k yE kawa Ha?
.
MAAN Hansi 0r boLi k beta, Jb Tu 3 saaL ka tha Tu yE hi Jaga thi,
0r aisa hi kawa paas betha tha.
Or Tum nE 40 bar poocha tha
0r main nE 40 Bar Tera matha choom k bataya tha
k ye kawa ha.

______________________________________________________________

MAAN) Ke Liye Sb Ko CHoR Dena Lekin kisi K Liye
(MAAN) Ko MaT Chorna (MAAN) Roti Ha to Farishton K Bhi Rona Aata ha.
So Keep Good Care Of Ur (MaaN).

Copyright © 2015 All Rights Reserved