Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna ha..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna ha..
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa
Mujhay tu khair taira intazaaar karna ha
Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah’guzaar karna ha
woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha keh ussay sharamsaar [...]

______________________________________________________________

Mein na iss torr say chaha tujhy aksar jana
Jesay mahtab ko bay-ant sumandar chahay
Jesay soraj ki kiran seep k dil mein utray
Jesay khushbo ko hawa rang sa hatt kr chahay

______________________________________________________________

'Seeny Se Lipat Ja Mery Khwabon Se Nikal Kar.
.
Ik Baar Milen Hum Bhi Hijaabon Se Nikal Kar.
.
Kirnon Ki Trah Baant Zamaany Me Ujaala.
.
Khushbu Ki Trah Pheil Gulaabon Se Nikal Kar.
.
Mey_Khano Ki Surat Hain Teri Jheel Si Ankhen.
.
Dooby Hain Jahan Log Sharabon Se Nikal Kar.
.
Mujhko Bhi Gwaara Nahi Ab Tujhse Bicharrna.
.
Dil Bhi Hy Pareshan Saraabon Se Nikal Kar.
.
Rehne Do Abhi Gardish_e_Doraan Mei Hi "MOHSIN"
.
Behly Gi Tabiyat Na Azaabon Se Nikal Kar..'

______________________________________________________________

(Mohsin naqvi)
Wohi Aankhen Hain..
Jin Mei Zindgi Ne Khwab Likhy Thy!!
.
Wohi Palken Hain Jin Per..
Mere Honton Ki Shuaaon Ne..
Chuni Thi Kehkishaan Aksar..
.
Wohi Lab..
Jin Se Lafzon K Sitaary Toot Kar..
Meri Ghazal Mei Saans Leity Thy..
.
Wohi Chehra..
Jo Harf_o_Saut K Daayiry Mei..
Markazi Nuqta..
.
Wohi Gardan..
K Jis Mei Aqqd_e_Marjaan..
Aaeena_Bandi Ka Khumeyaaza..
.
Wohi Baazu..
Jinhen Mere Badan Ka Lams Aksar..
Be_Karaan Chahat Ki Rut Se..
Aashna Karta..
.
Wohi Sab Kuch..
Magar Ik Farq Waazeyaa Hy..
K Ab Uski Tabiyyat Mei Samandar Ka Tamawaj Hy..
.
Wohi Sab Kuch...
Magar Ab Iss Tarah Lagta Hai Jaisy..
K Hum Mei Na_Deeda Faseelen Khich Gayeen Khud Se..
.
Kabhi Meri Muhabbat Se Atti Mahtaab Ki Raatein..
Ghani Raatein.
Ab Usay Achi Nahi Lagteen..
.
Kabhi Be_Rabt_o_Be_Khwahish Mulaqaatein..
Usay Achi Nahi Lagteen..
.
Wohi Sab Kuch Sahi Laikin..
Ab Aisa Hy..
Meri Baatein...
Usay Achi Nahi Lagteen :-|'

______________________________________________________________

'Dard Se Be Niyaaz Hone De
Ay Shab-e-Hijran Kuch To sone De,

Aaj Ek surkharu Se Milna Hai
Aaj Aankhain Lahoo Se Dhone De,

Kaash Koi Humain Bhi Ashk Apne
Saans Kay Taar Main Pirone De,

Kuch To Sooch Apne Haal Per "Mohsin"
Khud ko Yoon Raigaan Naa Hone De.'

______________________________________________________________

'Mujh Sy Kia Gila Hy Tum Ko, AakhiR Itny Bad-Gumaan Keon Ho..???
Mein Ny Tum Ko Chaha Hy...Tum Sy To Kuch Nhi Chaha...!

______________________________________________________________

'Yahan mzdur ko mrne ki jaldi youn bhi hai
"MOHSIN"

kahin mehnat ki Kashmakash main kafan mehnga na ho jae...
(1st May labour day)'

______________________________________________________________

'Zamane bhar ki nigahon se jo juda sa lage
Wo ajnabi hai magar mujh ko aashna sa lage
Najane kab meri dunya main muskuraye ga
Wo shaks k khuabon main bhi khafa sa lage
Ajeeb cheez hai yaro ye manzilon ki hawis
K rahzan bhi musafir ko rehnuma sa lage
Dil tabah tera mashwara hai kya k mujhay
Wo phool rung sitara bhi bewafa sa lage
Huwi hai jis se mun’nawar hai aik ankh ki jheel
Wo chand aaj bhi “Mohsin” ko kam numa sa lage'

______________________________________________________________

Khud ba-khud chor gy hein tu chalo thek hua
Itne ehbab kahan hmse sanbhale jaty
Hm b Ghalib ki trha kocha-e-jana se MOHSIN
Na nikalte tu ksi roz nikaly jaty

Copyright © 2015 All Rights Reserved